The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

Jannat Yahan Hai 

 

Jab aankhon mein asq aa jaaye toh

hansne ka lutf hi kahan hai

Wahi gudgudane wala phir mil jaye tab

toh jannat yahan hai

Kabhi kabhi aadhi raat ko jab unka payam

aata hai mere liye

Intzaari mein suntan hoon ki ye baat tal

gai hai agle din ke liye

Bahut mayusi hoti hai is taalmatol se par

kuchh kar nahin sakta

Kah deta hoon tumhi ho nigah mein

jeewan bhar main intzaar kar sakta

Roj haanthon mein phool ka guldasta le

ke jaate hain unke majar par

Yahi soch ke jeeta hoon ki aaj nahin toh

kal wo aayengi mere ghar

Chali jaati hai unke paas meri neend toh

phir sapne kahan se aayen

Isq mein khoob din gujarte hain sapne

dekhe, jiye ya phir mar jaayen 

Nazar aate rahte hain wo har waqt lekin

yeh toh mera sapna hi hai 

Mere dil mein hi rahte hain wot oh phir

mujh se is kadar parda kyon hai 

Lakhan ab suntan raha jo usne kabhi nahi

suna tha aaj tak 

Mohabbat aysi dhadkan hai jisko koi

samjha nahin aaj tak.