The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

ILAAZ KAHAN KHO GAYA HAI

 

Ab toh raat din beghudi hi saari rahti hai

ye ajab jindgi hamari hai 

Peechhe peechhe hain khushiyon ka kafila

aage aage toh pareshani hamari hai

Mit jayenge magar koi shikwa nahin

karenge yahi isq ka takaza hai

Ab kya poochhte ho mere dil ka haal yeh

unke judai ka maazra hai

Bahla rahen hain apni bimare tabiyat ab

yahi toh mera khinja naseeb hai 

Is dil ke daman pe kya yahi bahaar ka

naksha banana ka tarkeeb hai 

Apne toote dil se na jaane kitne wadey

karta raha aur karta rahunga

Na jaane kitni kaza aa aa ke talti rahi inn

ko sahta rahunga 

Kuchh yaron ne aa ke ada se poochha

mijaz toh kah diya shukr hai aap ki 

Unko kya pata main kis dard ko sah raha

hoon kaysi jalan hai aag ki 

Ab main chalta toh saaya bhi mere saath

nahin deta na barf kaam aati hai 

Seene ke is dhadhakti jwala ko thandak

dena kisi ko bhi nahin aati hai 

Jara jara si chot par ro padtey ho Lakhan

ab tum ko kya ho gaya hai 

Is jamane ke hakimon se poochho ki is

dard ka ilaaz kaha kho gaya hai.