The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

WO UTNA HI DOOR HOTE HAIN 

 

Is prem rogi ki haal mat puchhoo haalat

toh wahi hai jo unke jaane ke baad thi 

Khud jal ke rah gayi hai parwaane ke

saamne  jisko kabhi unse mohabbat thi

Roj milna chaahatey hain unse kahin na

kahin par ab aysa mumkin nahin hoti

Is sinea mein kuchh aur dil hote toh

hajaron gham sahne ki himmat toh hoti

Hamko unhon ne pyar diya tha par ab

kewal aansoo, chubhan aur gham mila hai

Magar yeh toh bata do duniya walo ab

khushi pane ke liye kahan koi sila hai 

Bhala toh yahi hotaki ham kabhi pyar hi

na karte is dil mein dard na rahta

Jab tak wo mere pass thi toh kewal

sukoon tha dil dimag sada chaman rahta

Ab apna kisko kahen haon hai paraya sab

kuchh paake sab kuchh kho diya hai 

Maut se badtar thi ye jindgi unki bagayr,

unka saath ne hamko sahara diya hai 

Ab toh saath hi chhoot gaya unka toh na

rone pe khush hain na hansney pe raji

hote hain

Jana toh hamko bhi hai udhar hi yaro lekin

 

meri hamsafar kahan raji hote hain

Ab main dekhunga kahan tak pahuchi hai

meri barbaadi, aankhon mein kitne

aansoo hote hain 

Lakhan jitna unke kareeb hone ki koshish

karta hai wo utna hi door ho jaate hain.