The Treasury of Memories by Dr Ram Lakhan Prasad - HTML preview

PLEASE NOTE: This is an HTML preview only and some elements such as links or page numbers may be incorrect.
Download the book in PDF, ePub, Kindle for a complete version.

UNKI YAAD NAHI GAI HAI 

 

Ham ko bahut gham de diya hai

mohabbat ne toh haasil khushi nahin hoti

Shaam dhalti aur aasara ghatati toh ye dil

ki duniya barbaad hoti

Wo mere nazar se door sahi magar in dino

mere dil ke paas hi rahti hai

Ye kya khoob faasala bhi hai ki ab koi

faasala bhi nahin rahti hai

Unko khabar ho na ho par mujhko toh

barbaad kar diya hai un ka pyar

Barbaadiyon ka apna hame gham nahin

hai lekin barbaad hai mera pyar

Ab won a aayenge toh ham bhi mar

jaayenge baat rah jayegi din gujar

jaayenge

Jinda hoon yahi samajh kar ki aage chal ke

ek pyara chaman banayenge

Agar koi bhi baat mushkil thi mere liye toh

isq ki baaji ko jeetna

Apne pyar ko jeetney ke khouf mein main

bhool gaya unke dil ko jeetna

Na jaane kyon wo mere lahrate chaman

ko pahele hi chhod kar chalte bhaye

Lakhan ghabra ke dekhta rah gaya jab

unke praan pakheroo nikal gaye 

Bagayr unke ab koi bhi din gujarta nahin

yahan maatam chha gayi hai

Raat toh kat jaati hai kisi tarah lekin unki

wo madhur yaad nahin gayi hai.