RUK JA WO JANE WALE
Mere dhyan mein, dil mein, in nigahon
mein unki hi surat rahti hai
Ham ko ab na din ko chain milta hai na hi
raaton ko sukoon milti hai
Ba yun hi jaagti rahti hai aksar is toote
huye dil mein sunahare yaad unki
Aysa lagta hai koi kamsin bulbul sawan
mein ghazal gaati hai mere mannki
Main ne unko dil diya tha rakhne ko par
ab wo wapas kar ke chali gayi
Ab apne is toote dil ko le ke kya karoon jo
hazaar tukdon mein bikhar gayi
Ab mere hi ghar mein meri sanam sataati
hai hame hamari hi raajdaan bankar
Na jaane kyon ujjaad diya hai mere pyar
ka bagiche mera hi baagbaan bankar
He bhagwan aap mera khayr rakhna yeh
mere maatam ki badi manhoos ghadi hai
Abhi tak toh nibhaya hai aage bhi nibhate
rahna meri toh puri umar padi hai
Ab is kadar ragadta hoon apna maatha
tere dar pe takdeer bhi mit gayi hai
Kitna bhi tatbeer karta hoon lekin aaj tak
unki madhur yaad nahin gayi hai
Us din tadap ke ro ro ke main ne apne
Saroj se kaha tha ki ruk jawo
Unko chikitsa ke liye bheja tha par yeh na
kaha tha ki ye duniya chhod jawo